Thursday, February 4, 2010

Kuch to kariye Jha Ji

Jaane kahan khona chahta hai
pyaar mai pagal hona chahta hai
aksar bujha bujha sa rehta hai par
aur bolta hai, kuch to kariye Jha Ji

anokha sa kuch likhna chahta hai
kabhi suron ke saath khelna chahta hai
kewal wazan hi utha pata hai par
aur bolta hai, kuch to kariye Jha Ji

paani mai gotey lagana chahta hai
madhosh hoke kabhi jhoomna chahta hai
chalna hi naseeb hai par bichare ko
so bolta hai, kuch to kariye Jha Ji

acchi si aawaz mai gungunana chahta hai
haseen labon ko choomna chahta hai
bewajah ki baatein hi kar pata hai par
aur bolta hai, kuch to kariye Jha Ji

Moh maya ke jaal se nikalna chahta hai
chaddar taanke aaram se sona chahta hai
khoob aalas mai din guzarta hai
aur bolta hai, kuch naa kariye Jha Ji.



4 comments:

Abhijha said...

Ok I have a deep funda for the paras in this poem. So, ping me incase u read it :)

Srivani said...

Wah, ustad, wah!

I loved this poem.

arpan said...

Another Ace!

Deepak said...

ur brain and body are in conflict yahi funda hai?