sochne lagta hoon manzil ke baare mai
agar kamyaab ho gaya to kya hoga,
kaise badal jayegi zindagi
Sab kuch kitna sahi sa hoga
Lekin agar wahan nahi pahunch paaya
toh kaunsi nahi raah pe nikloonga
manzil kitni badal jayegi aur koi manzil hogi bhi ya nahi
ye khayal bhi foot padta hai
Kahaniyan sunate hain kai log
jisme sab kuch ekdam accha ho jaata hai anth tak
par jahan woh kahani khatam hoti hai
wahan koi aur bhi to shuru hoti hogi
sabke liye to woh kahani ek si khatam nahi hoti
fir kis anth ko dekh kar khush ho jaate hain hum
peeche mud ke dekhta hoon abhi tak ke safar ko
to yaad aati hain woh choti choti khusiyaan,
chote chote gham jo us samay pahad jaise bade lagte the
har kamiyabi ek naya sooraj aur har nakami maut ka gehra kuan lagta tha
par waqt ke saath sabka aakaar chota pad jaata hai
toh fir kyun sochna ki kya sahi hoga aakhir mai
aandhi mai udte hue kagaz ki tarah
udne ka mazaa lo naaki doobne ubarne ka khayal